Powered By Blogger

Wednesday, May 14, 2014

Nawab Akbar Bugti History In Urdu

Nawab Akbar Bugti History In Urdu

Akbar Bugti Photo
Nawab Akbar Bugti ne Pakistan mein ibtaadai taleem hasil karne ke baad Oxford University se high education taleem hasil ki. Wo 1946 mein apne qabile ke 19th (leader) bane.1949 mein Nawab Akbar Bugti hukomat ki khososi permission se Pakistan Soul Service Academy se P.A.S ka exam diye bina education hasil ki. Baad mai wo Sindh aur Balochistan ke shahi gharja ke rakan naamzaad howe.1951 meini Balochistan ke Governer General ke mashir mukarar howe.Wo 1958 mai Wazeer e Mumlikat ke tor per wafaqi kabina mai shamil howe.1960 mai wo National Awami Party mein shamil huye. Ayub khan ke daur mein Akbar Bugti kuch arsa jail mein bhi rahe.?
Jab Ataullah Mengal, Balochistan ke wazeer e ala bane to nawab sahib ke neep ki qayadat se Iktalafaat hogae. 1973 mai jab zulfiqar Ali Bhutto ne neep ki hukomat ko barkhuwast kiya to Akbar sahib ko province ka Governer muqarer kiya. Wo 10 year Governer rahe lekin baad mai Bhutto Sahib se ikhalafaat ki bina per mustafi hogae. 1977 mai unhone Air marshal Asghar Ali khan ki sirbarahi mai qaim tahareek istaklaal mai shamoliyat ikhtiyar ki.??

1988 mein Akbar Bugti Balochistan ki sobai assembly ke rakun muntakhib hoye. February 1989 se August 1990 tak wo Balochistan ke muntakhib wazeer e aala rahe(Chief Minister of Balochistan). Benazeir Bhutto ne Balochistan ke assembly ko tahaleel kar diya.1993 ke intakhabaat mai wo Dirah Bhagti se apni new jamat jamhori watan party ke rakan qamI assembly muntakhib howe. Nawab Akbar Bugti ne qaumi assembly (national assembly) mein urdu language ka bycotte kiya. Akbar Bugti ne 1997 our 2002 ke intakhabaat mein hissa nahi liya.?
Nawab Akbar Bugti ke Kohlo ke Mari qabila se rishtedari thi. Saal 2003 se 2006 tak Akbar Bugti Mari Sardaro ke sath mil kar hukomat ke khilaf province ke haqooq ke liya qoom parastoon ki qayadat karta rahe. kohlo ke pahardoon mein kai months se rohposh rahe. 26th August ke roz apni jan sa hath dhoh bethe.
Agarcha zindagi mein Nawab Akbar Bugti ki personality boht mutanaza rahi lekin jin halaat mai in ki death hoi, is se in ke bare mai awm ke souchne ka andaaz badle gaya. In ki death ke baad awam ki souch mai kia tabdeeli ai is ka andaza app in ke personality per boht jama tabseerah bhi hai. “mujha yaqeen hai ke inki death per Pakistan aur khas tor pa Balochistan meini logoon ko dukh tu hoga lekin heart nai hoi hogi.
???????
“ye 1970 ka zamana nai ke hum inhyn paharhoon ke peecha peecha dhundte rahe.Unhyn pata bhi nai parega ke wo kis cheez se hate howe hai. Akber Bhugti ke sath do or leader mughaleef baloch sardaroon ke liya Pakistan ke foogi leader General Pervaiz Musharaf ne kaha tha and Murharaf sahib ne baloch ke sath woi salook kiya jo sadam hussain ne kardon ke sath kiya tha.
“Humara maqsad jitna hoskha general perriz musharaf ki zidagi ageeran bana nab a in se in ke beairko mai wapis jane tak karhto rehna hai is in kebeairko mai wapis jane tak larhta larte rehna hain”is 79 saala bemar baloch sardar ne ab baloch goreelon ki qayadat rarte how keg air mulki reporter se rehna tha mujha bachpan mai bhagtiyoon ke is sardar ki ek jalse mai ki hoi speed yaad ha jo unho ne apne bhai mir ahmed nawaz ki intekhabi muhim chalane ke doraan rahi thi “ghanook (gair boaloch ke liye word) ke sir ki cost kia hai ghanook ka blood baha black donkey ki back per rakhi hoi jo ki bus ek boori hai”.
Yeh wo zamana tha jub area mai bhgtiyoon ra ek or baloch qabile jakharaniyoon ke sathn qabaili tasadam tha jo ek sadi se ek farq ke khetoon mai dosre ke animal ke chale ane se start howa tha our “Anis sawaci”ki dahai mai safai per khatem howa.?????????
Ye wo Bhugti tha jis ki Governer Balochistan ki haseeyat se radio per English language mai ane wali speech our Bhutto ki English language per dastaras per “Muqabale baazi” kerte the Shebaaz khan famous nawab akber bhagti bhagti, sardar mehrab khan ke son the jim ka naam opne grandfather shebaaz khan per rakha tha.
Jab February 1843 mai Sir Charles ne sindh fataah krne ki muhim ke doraan Jeikababaad aur Sibhi ki taraf peeshqadmi kit hi to Bhugti qabail ne issa zabardast mazhammat di thi.Jis ke baadin ke sardar Shebaaz Khan ko English ko raam krna parha.
Jab sindh mai haroon ne English Government ke khelaaf baagawaat ki to isse qochalne ke liye Punjabi or Pathanoon foogiyoon Angareezoon ne Bhagtiyoon ki bhi khidmaat hasil ki thin. Jis ke sille mai Shebaaz Khan ko sindh mai Sangaard Zaalae mai boht property di gai.Jo aaj bhi Nawab Bhugti ke naam se famous hain.
Shebaaz Khan ko Angareezoon ne count banaya tha,jab mojooda Queen Bartaneia ki taajposhi ki London mai rasam hoi to is mai Akber Bhagti bhi shamil the. Nawab Bhugti ki American mates thin.
In ke bachpan mai hi in ke father Nawab Merharb khan ki death hogai to in ki zaminen aur dosri imlaq ka intezam in ke baligh hone tk hukomat ke under vision Court of wardaz mai agaya or inki or inke bhai Ahmed Nawaz ki education keliya Sindh Madarsa School mai parh rahe hain.
Nawab Bhugti mai ek hi waqt mai hazaar saal purana qabaili ,latest educated brain sath raheta the. In ki library mai falsafa ,shaeri aur classical English language ki books hazaro ki tadat mai nazar ati thin. Gair mulki ladies reporters aur Anhar wapalo jiston se kei hours tak batein krne wale Akbar Bhugti khud apni ladies ke bare mai boht qadamat pasand waqai howe tha bulke in ke dosre qabail mai bhi siya kari ye carokari per ladies kill hoti aur wo inke faisle kiya krte tha.???????
1960 ki dahai mai Pakistani foog ke khilaf baloch hatiyar la ker paharon per is waqt chale gayn the. Jab siya kari ye carokari mai kill hone wali ek lady ki blood mai bhari shalwar ko intezamiyah ne case property ke tor per talab ki thi jis per baloch mushtaal hogae the.
Balochoon ka ehtajaaj baad mai shorish mai mushoor hogaya.Baloch sardar Noor rooz Khan or is ke sons ko Hyderabaad mai phansi dadi gai.Jab ke Akber Bhugti ko bhi Ayub khan ki hukomat ne phansi ki saaza di,jo in ke dost Zulfiqas Ali Bhutto ki koshisho se baad mai maafi mai tabdil hogai.
Issi doran government ne in ko sardari sa hata ke in ke qabile mai in mukhalif ko Bhagti qabail ka sardar banwaya lekin bhagti qabail ne 24 hours k andar new hukomat sardar ka sir qalam kardiya.Yahiyah Khan ke dino mai Pakistan mai hone wale 1st intekhabaat mai in ko na ehal qarar diya gaya tha lekin unhone apne bhai or National Awaami Party mai umeedwar Sir Ahmed Nawaz Bhagti ki himayat mai muhim chalai thi.
1970 ke intekhabaat mai Balochistan ke results heerat angeez ayn. In intekhabaat mai Nawab Khair Bhagsh qami asamli ki kolo wali nasht se tamam Pakistan main sub say zada woot hasal kia thy jub k nichlay motawasad tab k se ae howay nojawan dartor abdul he boloch
Bolochiyoon ne sabit kar diya tha ke wo Muslah Tahareek ke bajaen intakhabi ammal ko targi dite hain. Mager Mashreqi Pakistan mai hone intekhabaat ke results ko tasleem na karne par paida hona wale buhran ke dino mai bhugti sahib ne Pakistan, India or Afghanistan ke beach confederation ki tajvez paish kar di thi.
1973 mein Zulfiqar Ali bhutto ne Balochistan mein neap ki government khatam karne per inhe Bolochistan ka governor moqarar kar diya.neap ki government khatam karne par Bolochistan ne Bhutto ke khilaf baghawat ke liya mountains per chale gae.????
Bolochistan mai ek story famous hai ke bolochistan mai 1973 ke foogi operation ke doran boloch qom parastoon ne inhe “Gadare boloch” qara dadiya isi operation ke doran Bhutto ne bolochistan mai “Shsh” our sarkari ka khatima ka elaan kardiya. 1993 mein Akbar Bugti Qaumi Assembly ke rakan muntakhaib huye aur balochistan libaas mein nazar qaeyn or national assembhy mai bhi halaf apne mothertorque language bolochi mai utaya jis per inke khilaf both “Shoor Sharaba” hova .
1988 mein markaz e mukhalef per ke intekhabaat jeet kar ane aur in ki hukomat banane ki saalahitin aur mari jaise tall baloch qom parash rehnomao ke mulk se bahar hone aur mulk ki politics se buth mayosi mein Akbar sahib hi ek aise tall baloch the jis se foog aur is ki agencies ko danger tha. 1980 ki dahai mai oil or gas ke zakhair inki zameeno per se nikalne ke bawajood bhugti qabail aaj bhi zaida tar qabail purane door duzar rahe hain jo sach and jhoot ki dawahi foot per doat ka blood laga kar data hai, or angharoon wali aag per chalte hain

No comments:

Post a Comment